ḳhudī ho ilm se mohkam to ġhairat-e-jibrīl
agar ho ishq se mohkam to sūr-e-isrāfīl
azāb-e-dānish-e-hāzir se bā-ḳhabar huuñ maiñ
ki maiñ is aag meñ Daalā gayā huuñ misl-e-ḳhalīl
fareb-ḳhurda-e-manzil hai kārvāñ varna
ziyāda rāhat-e-manzil se hai nashāt-e-rahīl
nazar nahīñ to mire halqa-e-suḳhan meñ na baiTh
ki nukta-hā-e-ḳhudī haiñ misāl-e-teġh-e-asīl
mujhe vo dars-e-farñg aaj yaad aate haiñ
kahāñ huzūr kī lazzat kahāñ hijāb-e-dalīl
añdherī shab hai judā apne qāfile se hai tū
tire liye hai mirā shola-e-navā qindīl
ġharīb o saada o rañgīñ hai dāstān-e-haram
nihāyat is kī husain ibtidā hai ismā.īl