lā phir ik baar vahī baada o jaam ai saaqī
haath aa jaa.e mujhe merā maqām ai saaqī
tiin sau saal se haiñ hind ke mai-ḳhāne band
ab munāsib hai tirā faiz ho aam ai saaqī
merī mīnā-e-ġhazal meñ thī zarā sī baaqī
sheḳh kahtā hai ki hai ye bhī harām ai saaqī
sher mardoñ se huā besha-e-tehqīq tahī
rah ga.e suufī o mullā ke ġhulām ai saaqī
ishq kī teġh-e-jigar-dār uḌā lī kis ne
ilm ke haath meñ ḳhālī hai niyām ai saaqī
siina raushan ho to hai soz-e-suḳhan ain-e-hayāt
ho na raushan to suḳhan marg-e-davām ai saaqī
tū mirī raat ko mahtāb se mahrūm na rakh
tire paimāne meñ hai māh-e-tamām ai saaqī