Allama Iqbal

maktabon mein kahin ranai-e-afkar bhi hai

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
maktaboñ meñ kahīñ rānā.i-e-afkār bhī hai
ḳhānqāhoñ meñ kahīñ lazzat-e-asrār bhī hai
manzil-e-rah-ravāñ duur bhī dushvār bhī hai
koī is qāfile meñ qāfila-sālār bhī hai
baḌh ke ḳhaibar se hai ye mārka-e-dīn-o-vatan
is zamāne meñ koī haidar-e-karrār bhī hai
ilm kī had se pare banda-e-momin ke liye
lazzat-e-shauq bhī hai nemat-e-dīdār bhī hai
pīr-e-mai-ḳhāna ye kahtā hai ki aivān-e-farañg
sust-buniyād bhī hai ā.īna-dīvār bhī hai
Top Urdushayar.com