Allama Iqbal

har ek maqam se aage guzar gaya mah-e-nau

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
har ik maqām se aage guzar gayā mah-e-nau
kamāl kis ko mayassar huā hai be-tag-o-dau
nafas ke zor se vo ġhuncha vā huā bhī to kyā
jise nasīb nahīñ āftāb kā partav
nigāh paak hai terī to paak hai dil bhī
ki dil ko haq ne kiyā hai nigāh kā pairav
panap sakā na ḳhayābāñ meñ lāla-e-dil-soz
ki sāzgār nahīñ ye jahān-e-gandum-o-jau
rahe na 'aibak' o 'ġhaurī' ke mārke baaqī
hamesha taaza o shīrīñ hai naġhma-e-'ḳhusrau'
Top Urdushayar.com