Allama Iqbal

garm-e-fughan hai jaras uTh ki gaya qafila

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
garm-e-fuġhāñ hai jaras uTh ki gayā qāfila
vaa.e vo rah-rau ki hai muntazir-e-rāhila
terī tabī.at hai aur terā zamāna hai aur
tere muāfiq nahīñ ḳhānqahī silsila
dil ho ġhulām-e-ḳhirad yā ki imām-e-ḳhirad
sālik-e-rah hoshiyār saḳht hai ye marhala
us kī ḳhudī hai abhī shām-o-sahar meñ asiir
gardish-e-daurāñ kā hai jis kī zabāñ par gila
tere nafas se huī ātish-e-gul tez-tar
murġh-e-chaman hai yahī terī navā kā sila
Top Urdushayar.com