shu.ūr o hosh o ḳhirad kā mo.āmla hai ajiib
maqām-e-shauq meñ haiñ sab dil o nazar ke raqīb
maiñ jāntā huuñ jamā.at kā hashr kyā hogā
masā.il-e-nazarī meñ ulajh gayā hai ḳhatīb
agarche mere nasheman kā kar rahā hai tavāf
mirī navā meñ nahīñ tā.ir-e-chaman kā nasīb
sunā hai maiñ ne suḳhan-ras hai turk-e-usmānī
sunā.e kaun use 'iqbāl' kā ye sher-e-ġharīb
samajh rahe haiñ vo europe ko ham-javār apnā
sitāre jin ke nasheman se haiñ ziyāda qarīb