apnī jaulāñ-gāh zer-e-āsmāñ samjhā thā maiñ
aab o gil ke khel ko apnā jahāñ samjhā thā maiñ
be-hijābī se tirī TuuTā nigāhoñ kā tilism
ik ridā-e-nīl-gūñ ko āsmāñ samjhā thā maiñ
kārvāñ thak kar fazā ke pech-o-ḳham meñ rah gayā
mehr o maah o mushtarī ko ham-ināñ samjhā thā maiñ
ishq kī ik jast ne tai kar diyā qissa tamām
is zamīn o āsmāñ ko be-karāñ samjhā thā maiñ
kah ga.iiñ rāz-e-mohabbat parda-dārī-hā-e-shauq
thī fuġhāñ vo bhī jise zabt-e-fuġhāñ samjhā thā maiñ
thī kisī darmāñda rah-rau kī sadā-e-dardnāk
jis ko āvāz-e-rahīl-e-kārvāñ samjhā thā maiñ