naala hai bulbul-e-shorīda tirā ḳhaam abhī
apne siine meñ ise aur zarā thaam abhī
puḳhta hotī hai agar maslahat-andesh ho aql
ishq ho maslahat-andesh to hai ḳhaam abhī
be-ḳhatar kuud paḌā ātish-e-namrūd meñ ishq
aql hai mahv-e-tamāshā-e-lab-e-bām abhī
ishq farmūda-e-qāsid se subuk-gām-e-amal
aql samjhī hī nahīñ ma.anī-e-paiġhām abhī
sheva-e-ishq hai āzādī o dahr-āshobī
tū hai zunnārī-e-but-ḳhāna-e-ayyām abhī
uzr-e-parhez pe kahtā hai bigaḌ kar saaqī
hai tire dil meñ vahī kāvish-e-anjām abhī
sa.ī-e-paiham hai tarāzu-e-kam-o-kaif-e-hayāt
terī mīzāñ hai shumār-e-sahar-o-shām abhī
abr-e-naisāñ ye tunuk-baḳhshī-e-shabnam kab tak
mere kohsār ke laale haiñ tahī-jām abhī
bāda-gardān-e-ajam vo arabī merī sharāb
mire sāġhar se jhijakte haiñ mai-āshām abhī
ḳhabar 'iqbāl' kī laa.ī hai gulistāñ se nasīm
nau-giraftār phaḌaktā hai tah-e-dām abhī