agar kaj-rau haiñ anjum āsmāñ terā hai yā merā
mujhe fikr-e-jahāñ kyuuñ ho jahāñ terā hai yā merā
agar hañgāma-hā-e-shauq se hai lā-makāñ ḳhālī
ḳhatā kis kī hai yā rab lā-makāñ terā hai yā merā
use sub.h-e-azal inkār kī jur.at huī kyūñkar
mujhe mālūm kyā vo rāz-dāñ terā hai yā merā
mohammad bhī tirā jibrīl bhī qur.ān bhī terā
magar ye harf-e-shīrīñ tarjumāñ terā hai yā merā
isī kaukab kī tābānī se hai terā jahāñ raushan
zavāl-e-ādam-e-ḳhākī ziyāñ terā hai yā merā