saḳhtiyāñ kartā huuñ dil par ġhair se ġhāfil huuñ maiñ
haa.e kyā achchhī kahī zālim huuñ maiñ jāhil huuñ maiñ
maiñ jabhī tak thā ki terī jalva-pairā.ī na thī
jo numūd-e-haq se miT jaatā hai vo bātil huuñ maiñ
ilm ke dariyā se nikle ġhota-zan gauhar-ba-dast
vaa.e mahrūmī ḳhazaf chain lab sāhil huuñ maiñ
hai mirī zillat hī kuchh merī sharāfat kī dalīl
jis kī ġhaflat ko malak rote haiñ vo ġhāfil huuñ maiñ
bazm-e-hastī apnī ārā.ish pe tū nāzāñ na ho
tū to ik tasvīr hai mahfil kī aur mahfil huuñ maiñ
DhūñDhtā phirtā huuñ maiñ 'iqbāl' apne-āp ko
aap hī goyā musāfir aap hī manzil huuñ maiñ