Allama Iqbal

teri nigah faromaya hath hai kotah

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
tirī nigāh faromāya haath hai kotāh
tirā gunah ki naḳhīl-e-buland kā hai gunāh
galā to ghoñT diyā ahl-e-madarsa ne tirā
kahāñ se aa.e sadā lā ilaah il-lallāh
ḳhudī meñ gum hai ḳhudā.ī talāsh kar ġhāfil
yahī hai tere liye ab salāh-e-kār kī raah
hadīs-e-dil kisī darvesh-e-be-galīm se pūchh
ḳhudā kare tujhe tere maqām se āgāh
barahna sar hai to azm-e-buland paidā kar
yahāñ faqat sar-e-shāhīñ ke vāste hai kulāh
na hai sitāre kī gardish na bāzi-e-aflāk
ḳhudī kī maut hai terā zavāl-e-nemat-o-jāh
uThā maiñ madrasa o ḳhānqāh se ġhamnāk
na zindagī na mohabbat na ma.arifat na nigāh
Top Urdushayar.com