ye dair-e-kuhan kyā hai ambār-e-ḳhas-o-ḳhāshāk
mushkil hai guzar is meñ be-nāla-e-ātishnāk
naḳhchīr-e-mohabbat kā qissa nahīñ tūlānī
lutf-e-ḳhalish-e-paikāñ āsūdgi-e-fitrāk
khoyā gayā jo matlab haftād o do millat meñ
samjhegā na tū jab tak be-rañg na ho idrāk
ik shar-e-musalmānī ik jazb-e-musalmānī
hai jazb-e-musalmānī sirr-e-falak-ul-aflāk
ai rahrav-e-farzāna be-jazb-e-musalmānī
ne rāh-e-amal paidā ne shāḳh-e-yaqīñ namnāk
ramzīñ haiñ mohabbat kī gustāḳhī o bebākī
har shauq nahīñ gustāḳh har jazb nahīñ bebāk
fāriġh to na baiThegā mahshar meñ junūñ merā
yā apnā garebāñ chaak yā dāman-e-yazdāñ chaak