Allama Iqbal

asar kare na kare sun to le meri fariyaad

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
asar kare na kare sun to le mirī fariyād
nahīñ hai daad kā tālib ye banda-e-āzād
ye musht-e-ḳhāk ye sarsar ye vus.at-e-aflāk
karam hai yā ki sitam terī lazzat-e-ījād
Thahar sakā na havā-e-chaman meñ ḳhema-e-gul
yahī hai fasl-e-bahārī yahī hai bād-e-murād
qusūr-vār ġharīb-ud-dayār huuñ lekin
tirā ḳharāba farishte na kar sake ābād
mirī jafā-talabī ko duā.eñ detā hai
vo dasht-e-sāda vo terā jahān-e-be-buniyād
ḳhatar-pasand tabī.at ko sāzgār nahīñ
vo gulsitāñ ki jahāñ ghaat meñ na ho sayyād
maqām-e-shauq tire qudsiyoñ ke bas kā nahīñ
unhīñ kā kaam hai ye jin ke hausle haiñ ziyād
Top Urdushayar.com