Allama Iqbal

fitrat ko KHirad ke ru-ba-ru kar

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
fitrat ko ḳhirad ke rū-ba-rū kar
tasḳhīr-e-maqām-e-rañg-o-bū kar
tū apnī ḳhudī ko kho chukā hai
khoī huī shai kī justujū kar
tāroñ kī fazā hai be-karāna
tū bhī ye maqām-e-ārzū kar
uryāñ haiñ tire chaman kī hūreñ
chāk-e-gul-o-lāla ko rafū kar
be-zauq nahīñ agarche fitrat
jo us se na ho sakā vo tū kar
Top Urdushayar.com