Allama Iqbal

wahi meri kam-nasibi wahi teri be-niyazi

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
vahī merī kam-nasībī vahī terī be-niyāzī
mire kaam kuchh na aayā ye kamāl-e-nai-navāzī
maiñ kahāñ huuñ tū kahāñ hai ye makāñ ki lā-makāñ hai
ye jahāñ mirā jahāñ hai ki tirī karishma-sāzī
isī kashmakash meñ guzrīñ mirī zindagī kī rāteñ
kabhī soz-o-sāz-e-'rūmī' kabhī pech-o-tāb-e-'rāzī'
vo fareb-ḳhurda shāhīñ ki palā ho kargasoñ meñ
use kyā ḳhabar ki kyā hai rah-o-rasm-e-shāhbāzī
na zabāñ koī ġhazal kī na zabāñ se bā-ḳhabar maiñ
koī dil-kushā sadā ho ajamī ho yā ki taazī
nahīñ faqr o saltanat meñ koī imtiyāz aisā
ye sipah kī teġh-bāzī vo nigah kī teġh-bāzī
koī kārvāñ se TuuTā koī bad-gumāñ haram se
ki amīr-e-kārvāñ meñ nahīñ ḳhū-e-dil-navāzī
Top Urdushayar.com