Allama Iqbal

na aate hamein isMein takrar kya thi

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
na aate hameñ is meñ takrār kyā thī
magar va.ada karte hue aar kyā thī
tumhāre payāmī ne sab raaz kholā
ḳhatā is meñ bande kī sarkār kyā thī
bharī bazm meñ apne āshiq ko taaḌā
tirī aañkh mastī meñ hushyār kyā thī
ta.ammul to thā un ko aane meñ qāsid
magar ye batā tarz-e-inkār kyā thī
khiñche ḳhud-baḳhud jānib-e-tūr muusā
kashish terī ai shauq-e-dīdār kyā thī
kahīñ zikr rahtā hai 'iqbāl' terā
fusūñ thā koī terī guftār kyā thī
Top Urdushayar.com