Allama Iqbal

mata-e-be-baha hai dard-o-soz-e-arzumandi

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938

matā-e-be-bahā hai dard-o-soz-e-ārzūmandī

maqām-e-bandagī de kar na luuñ shān-e-ḳhudāvandī

tire āzād bandoñ na ye duniyā na vo duniyā

yahāñ marne pābandī vahāñ jiine pābandī

hijāb iksīr hai āvāra-e-kū-e-mohabbat ko

mirī ātish ko bhaḌkātī hai terī der-paivandī

guzar-auqāt kar letā hai ye koh o bayābāñ meñ

ki shāhīñ ke liye zillat hai kār-e-āshiyāñ-bandī

ye faizān-e-nazar thā ki maktab karāmat thī

sikhā.e kis ne ismā.īl ko ādāb-e-farzandī

ziyārat-gāh-e-ahl-e-azm-o-himmat hai lahad merī

ki ḳhāk-e-rāh ko maiñ ne batāyā rāz-e-alvandī

mirī mashshātgī kyā zarūrat husn-e-ma.anī ko

ki fitrat ḳhud-ba-ḳhud kartī hai laale hinā-bandī

Top Urdushayar.com