matā-e-be-bahā hai dard-o-soz-e-ārzūmandī
maqām-e-bandagī de kar na luuñ shān-e-ḳhudāvandī
tire āzād bandoñ kī na ye duniyā na vo duniyā
yahāñ marne kī pābandī vahāñ jiine kī pābandī
hijāb iksīr hai āvāra-e-kū-e-mohabbat ko
mirī ātish ko bhaḌkātī hai terī der-paivandī
guzar-auqāt kar letā hai ye koh o bayābāñ meñ
ki shāhīñ ke liye zillat hai kār-e-āshiyāñ-bandī
ye faizān-e-nazar thā yā ki maktab kī karāmat thī
sikhā.e kis ne ismā.īl ko ādāb-e-farzandī
ziyārat-gāh-e-ahl-e-azm-o-himmat hai lahad merī
ki ḳhāk-e-rāh ko maiñ ne batāyā rāz-e-alvandī