Allama Iqbal

نہ ميں اعجمي نہ ہندي ، نہ عراقي و حجازي

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
mirī navā se hue zinda aarif o aamī
diyā hai maiñ ne unheñ zauq-e-ātish āshāmī
haram ke paas koī aajmī hai zamzama-sanj
ki taar taar hue jaama haa.e ehrāmī
haqīqat-e-abadī hai maqām-e-shabbīrī
badalte rahte haiñ andāz-e-kūfī o shāmī
mujhe ye Dar hai muqāmir haiñ puḳhta-kār bahut
na rañg laa.e kahīñ tere haath kī ḳhāmī
ajab nahīñ ki musalmāñ ko phir atā kar deñ
shikva-e-sanjar o faqr-e-juned o bastāmī
Top Urdushayar.com