Allama Iqbal
Sialkot, Punjab, Pakistan
1877-1938ḳhirad ne mujh ko atā kī nazar hakīmāna
sikhā.ī ishq ne mujh ko hadīs-e-rindāna
na baada hai na surāhī na daur-e-paimāna
faqat nigāh se rañgīñ hai bazm-e-jānāna
mirī navā-e-pareshāñ ko shā.irī na samajh
ki maiñ huuñ mahram-e-rāz-e-durūn-e-mai-ḳhāna