Allama Iqbal

jugnu ki raushni hai kashana-e-chaman mein

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
jugnū kī raushnī hai kāshāna-e-chaman meñ
yā sham.a jal rahī hai phūloñ kī anjuman meñ
aayā hai āsmāñ se uḌ kar koī sitāra
yā jaan paḌ ga.ī hai mahtāb kī kiran meñ
yā shab kī saltanat meñ din kā safīr aayā
ġhurbat meñ aa ke chamkā gumnām thā vatan meñ
takmā koī girā hai mahtāb kī qabā kā
zarra hai yā numāyāñ sūraj ke pairahan meñ
husn-e-qadīm kī ik poshīda ye jhalak thī
le aa.ī jis ko qudrat ḳhalvat se anjuman meñ
chhoTe se chāñd meñ hai zulmat bhī raushnī bhī
niklā kabhī gahan se aayā kabhī gahan meñ
Top Urdushayar.com