sitāroñ se aage jahāñ aur bhī haiñ
abhī ishq ke imtihāñ aur bhī haiñ
tahī zindagī se nahīñ ye fazā.eñ
yahāñ saikḌoñ kārvāñ aur bhī haiñ
qanā.at na kar ālam-e-rañg-o-bū par
chaman aur bhī āshiyāñ aur bhī haiñ
agar kho gayā ik nasheman to kyā ġham
maqāmāt-e-āh-o-fuġhāñ aur bhī haiñ
tū shāhīñ hai parvāz hai kaam terā
tire sāmne āsmāñ aur bhī haiñ
isī roz o shab meñ ulajh kar na rah jā
ki tere zamān o makāñ aur bhī haiñ
ga.e din ki tanhā thā maiñ anjuman meñ
yahāñ ab mire rāz-dāñ aur bhī haiñ