Allama Iqbal

نے مہرہ باقي ، نے مہرہ بازي

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
tire ishq kī intihā chāhtā huuñ
mirī sādgī dekh kyā chāhtā huuñ
sitam ho ki ho vada-e-be-hijābī
koī baat sabr-āzmā chāhtā huuñ
ye jannat mubārak rahe zāhidoñ ko
ki maiñ aap kā sāmnā chāhtā huuñ
zarā sā to dil huuñ magar shoḳh itnā
vahī lan-tarānī sunā chāhtā huuñ
koī dam kā mehmāñ huuñ ai ahl-e-mahfil
charāġh-e-sahar huuñ bujhā chāhtā huuñ
bharī bazm meñ raaz kī baat kah dī
baḌā be-adab huuñ sazā chāhtā huuñ
Top Urdushayar.com