Allama Iqbal

hadsa wo jo abhi parda-e-aflak mein hai

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
hādsa vo jo abhī parda-e-aflāk meñ hai
aks us kā mire ā.īna-e-idrāk meñ hai
na sitāre meñ hai ne gardish-e-aflāk meñ hai
terī taqdīr mire nāla-e-bebāk meñ hai
yā mirī aah meñ hī koī sharar zinda nahīñ
yā zarā nam abhī tere ḳhas-o-ḳhāshāk meñ hai
kyā ajab merī navā-hā-e-sahar-gāhī se
zinda ho jaa.e vo ātish jo tirī ḳhaak meñ hai
toḌ Dālegī yahī ḳhaak tilsim-e-shab-o-roz
garche uljhī huī taqdīr ke pechāk meñ hai
Top Urdushayar.com