Allama Iqbal

tu abhi rahguzar mein hai qaid-e-maqam se guzar

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
tū abhī rahguzar meñ hai qaid-e-maqām se guzar
misr o hijāz se guzar pāras o shaam se guzar
jis kā amal hai be-ġharaz us kī jazā kuchh aur hai
huur o ḳhiyām se guzar bāda-o-jām se guzar
garche hai dil-kushā bahut husn-e-farañg kī bahār
tā.erak-e-buland-bām dāna-o-dām se guzar
koh-shigāf terī zarb tujh se kushād-e-sharq-o-ġharb
teġh-e-hilāl kī tarah aish-e-niyām se guzar
terā imaam be-huzūr terī namāz be-surūr
aisī namāz se guzar aise imaam se guzar
Top Urdushayar.com