ḳhudī vo bahr hai jis kā koī kināra nahīñ
tū aabjū ise samjhā agar to chāra nahīñ
tilism-e-gumbad-e-gardūñ ko toḌ sakte haiñ
zujāj kī ye imārat hai sañg-e-ḳhāra nahīñ
ḳhudī meñ Dūbte haiñ phir ubhar bhī aate haiñ
magar ye hausla-e-mard-e-hech-kāra nahīñ
tire maqām ko anjum-shanās kyā jaane
ki ḳhāk-e-zinda hai tū tāba-e-sitāra nahīñ
yahīñ bahisht bhī hai huur o jibra.īl bhī hai
tirī nigah meñ abhī shoḳhi-e-nazāra nahīñ
mire junūñ ne zamāne ko ḳhuub pahchānā
vo pairahan mujhe baḳhshā ki paara paara nahīñ
ġhazab hai ain-e-karam meñ baḳhīl hai fitrat
ki lāl-e-nāb meñ ātish to hai sharāra nahīñ