Allama Iqbal

amin-e-raaz hai mardan-e-hur ki darweshi

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
amīn-e-rāz hai mardān-e-hur kī darveshī
ki jibra.īl se hai us ko nisbat-e-ḳhveshī
kise ḳhabar ki safīne Dubo chukī kitne
faqīh o suufī o shā.ir kī nā-ḳhush-andeshī
nigāh-e-garm ki sheroñ ke jis se hosh uḌ jaa.eñ
na āh-e-sard ki hai gosfandī o meshī
tabīb-e-ishq ne dekhā mujhe to farmāyā
tirā maraz hai faqat aarzū kī be-nīshī
vo shai kuchh aur hai kahte haiñ jān-e-pāk jise
ye rañg o nam ye lahū aab o naañ kī hai beshī
Top Urdushayar.com