ye pīrān-e-kalīsā-haram ai vā-e-majbūrī
sila in kī kad-o-kāvish kā hai sīnoñ kī be-nūrī
yaqīñ paidā kar ai nādāñ yaqīñ se haath aatī hai
vo darveshī ki jis ke sāmne jhuktī hai faġhfūrī
kabhī hairat kabhī mastī kabhī āh-e-sahar-gāhī
badaltā hai hazāroñ rañg merā dard-e-mahjūrī
had-e-idrāk se bāhar haiñ bāteñ ishq o mastī kī
samajh meñ is qadar aayā ki dil kī maut hai duurī
vo apne husn kī mastī se haiñ majbūr-e-paidā.ī
mirī āñkhoñ kī bīnā.ī meñ haiñ asbāb-e-mastūrī
koī taqdīr kī mantiq samajh saktā nahīñ varna
na the turkān-e-usmānī se kam turkān-e-taimurī
faqīrān-e-haram ke haath 'iqbāl' aa gayā kyūñkar
mayassar miir o sultāñ ko nahīñ shahīn-e-kāfūrī