dil-e-bedār fārūqī dil-e-bedār karrārī
mis-e-ādam ke haq meñ kīmiyā hai dil kī bedārī
dil-e-bedār paidā kar ki dil ḳhvābīda hai jab tak
na terī zarb hai kaarī na merī zarb hai kaarī
mashām-e-tez se miltā hai sahrā meñ nishāñ us kā
zan o taḳhmīñ se haath aatā nahīñ āhū-e-tātārī
is andeshe se zabt-e-āh maiñ kartā rahūñ kab tak
ki muġh-zāde na le jaa.eñ tirī qismat kī chiñgārī
ḳhudāvandā ye tere sāda-dil bande kidhar jaa.eñ
ki darveshī bhī ayyārī hai sultānī bhī ayyārī
mujhe tahzīb-e-hāzir ne atā kī hai vo āzādī
ki zāhir meñ to āzādī hai bātin meñ giraftārī
tū ai maulā-e-yasrib aap merī chārasāzī kar
mirī dānish hai afrañgī mirā īmāñ hai zunnārī