hazār ḳhauf ho lekin zabāñ ho dil kī rafīq
yahī rahā hai azal se qalandaroñ kā tarīq
hujūm kyuuñ hai ziyāda sharāb-ḳhāne meñ
faqat ye baat ki pīr-e-muġhāñ hai mard-e-ḳhalīq
ilāj-e-zof-e-yaqīñ in se ho nahīñ saktā
ġharīb agarche haiñ 'rāzī' ke nukta-hā-e-daqīq
murīd-e-sāda to ro ro ke ho gayā taa.ib
ḳhudā kare ki mile shaiḳh ko bhī ye taufīq
usī tilism-e-kuhan meñ asiir hai aadam
baġhal meñ us kī haiñ ab tak butān-e-ahd-e-atīq
mire liye to hai iqrār-e-bil-lisāñ bhī bahut
hazār shukr ki mullā haiñ sāhib-e-tasdīq
agar ho ishq to hai kufr bhī musalmānī
na ho to mard-e-musalmāñ bhī kāfir o zindīq