Allama Iqbal

mir-e-sipah na-saza lashkariyan shikasta saf

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
mīr-e-sipāh nā-sazā lashkariyāñ shikasta saf
aah vo tīr-e-nīm-kash jis kā na ho koī hadaf
tere muhīt meñ kahīñ gauhar-e-zindagī nahīñ
DhūñD chukā maiñ mauj mauj dekh chukā sadaf sadaf
ishq-e-butāñ se haath uThā apnī ḳhudī meñ Duub jā
naqsh o nigār-e-dair meñ ḳhūn-e-jigar na kar talaf
khol ke kyā bayāñ karūñ sirr-e-maqām-e-marg o ishq
ishq hai marg-e-bā-sharaf marg hayāt-e-be-sharaf
sohbat-e-pīr-e-rūm se mujh pe huā ye raaz faash
laakh hakīm sar-ba-jeb ek kalīm sar-ba-kaf
misl-e-kalīm ho agar mārka aazmā koī
ab bhī daraḳht-e-tūr se aatī hai bāñg-e-lā-taḳhaf
ḳhīra na kar sakā mujhe jalva-e-dānish-e-farañg
surma hai merī aañkh kā ḳhāk-e-madīna-o-najaf
Top Urdushayar.com