ḳhudī kī shoḳhī o tundī meñ kibr-o-nāz nahīñ
jo naaz ho bhī to be-lazzat-e-niyāz nahīñ
nigāh-e-ishq dil-e-zinda kī talāsh meñ hai
shikār-e-murda sazā-vār-e-shahbāz nahīñ
mirī navā meñ nahīñ hai adā-e-mahbūbī
ki bāñg-e-sūr-e-sarāfīl dil-navāz nahīñ
savāl-e-mai na karūñ sāqi-e-farañg se maiñ
ki ye tarīqa-e-rindān-e-pāk-bāz nahīñ
huī na aam jahāñ meñ kabhī hukūmat-e-ishq
sabab ye hai ki mohabbat zamāna-sāz nahīñ
ik iztirāb musalsal ġhayāb ho ki huzūr
maiñ ḳhud kahūñ to mirī dāstāñ darāz nahīñ
agar ho zauq to ḳhalvat meñ paḌh zubūr-e-ajam
fuġhān-e-nīm-shabī be-navā-e-rāz nahīñ