Allama Iqbal

raha na halqa-e-sufi mein soz-e-mushtaqi

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
rahā na halqa-e-sūfī meñ soz-e-mushtāqī
fasāna-hā-e-karāmāt rah ga.e baaqī
ḳharāb koshak-e-sultān o ḳhānqāh-e-faqīr
fuġhāñ ki taḳht o musallā kamāl-e-razzāqī
karegī dāvar-e-mahshar ko sharmsār ik roz
kitāb-e-sūfī-o-mullā kī sāda-aurāqī
na chīnī o arabī vo na ruumī o shāmī
samā sakā na do aalam meñ mard-e-āfāqī
mai-e-shabāna kī mastī to ho chukī lekin
khaTak rahā hai diloñ meñ karishma-e-sāqī
chaman meñ talḳh-navā.ī mirī gavārā kar
ki zahr bhī kabhī kartā hai kār-e-tiryāqī
azīz-tar hai matā-e-amīr-o-sultāñ se
vo sher jis meñ ho bijlī kā soz o barrāqaifī
Top Urdushayar.com