ejaaz hai kisī kā yā gardish-e-zamāna
TuuTā hai asia meñ sehr-e-firañgiyāna
tāmīr-e-āshiyāñ se maiñ ne ye raaz paayā
ahl-e-navā ke haq meñ bijlī hai āshiyāna
ye bandagī ḳhudā.ī vo bandagī gadā.ī
yā banda-e-ḳhudā ban yā banda-e-zamāna
ġhāfil na ho ḳhudī se kar apnī pāsbānī
shāyad kisī haram kā tū bhī hai āstāna
ai lā ilaah ke vāris baaqī nahīñ hai tujh meñ
guftār-e-dilbarāna kirdār-e-qāhirāna
terī nigāh se dil sīnoñ meñ kāñpte the
khoyā gayā hai terā jazb-e-qalañdarāna
rāz-e-haram se shāyad 'iqbāl' bā-ḳhabar hai
haiñ is kī guftugū ke andāz mahramāna