Allama Iqbal

ye kaun ghazal-KHwan hai pur-soz o nashat-angez

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
ye kaun ġhazal-ḳhvāñ hai pur-soz o nashāt-añgez
andesha-e-dānā ko kartā hai junūñ-āmez
go faqr bhī rakhtā hai andāz-e-mulūkāna
nā-puḳhta hai parvezī be-saltanat-e-parvez
ab hujra-e-sūfī meñ vo faqr nahīñ baaqī
ḳhūn-e-dil-e-sherāñ ho jis faqr kī dastāvez
ai halqa-e-darveshāñ vo mard-e-ḳhudā kaisā
ho jis ke garebāñ meñ hañgāma-e-rustā-ḳhez
jo zikr kī garmī se sho.ale kī tarah raushan
jo fikr kī sur.at meñ bijlī se ziyāda tez
kartī hai mulūkiyyat āsār-e-junūñ paidā
allāh ke nishtar haiñ taimūr ho yā chañgez
yuuñ dād-e-suḳhan mujh ko dete haiñ iraq o pāras
ye kāfir-e-hindi hai be-teġh-o-sināñ ḳhūñ-rez
Top Urdushayar.com