kamāl-e-tark nahīñ āb-o-gil se mahjūrī
kamāl-e-tark hai tasḳhīr-e-ḳhākī o nuurī
maiñ aise faqr se ai ahl-e-halqa baaz aayā
tumhārā faqr hai be-daulatī o rañjūrī
na faqr ke liye mauzūñ na saltanat ke liye
vo qaum jis ne gañvā.ī matā-e-taimūrī
sune na sāqi-e-mehvash to aur bhī achchhā
ayyār-e-garmi-e-sohbat hai harf-e-māzūrī
hakīm o aarif o suufī tamām mast-e-zahūr
kise ḳhabar ki tajallī hai ain-e-mastūrī
vo multafit hoñ to kunj-e-qafas bhī āzādī
na hoñ to sehn-e-chaman bhī maqām-e-majbūrī
burā na maan zarā aazmā ke dekh ise
farañg dil kī ḳharābī ḳhirad kī māmūrī