Allama Iqbal

دل مردہ دل نہيں ہے،اسے زندہ کر دوبارہ

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
gulzār-e-hast-e-būd na begāna-vār dekh
hai dekhne kī chiiz ise baar baar dekh
aayā hai tū jahāñ meñ misāl-e-sharār dekh
dam de na jaa.e hastī-e-nā-pā.edār dekh
maanā ki terī diid ke qābil nahīñ huuñ maiñ
tū merā shauq dekh mirā intizār dekh
kholī haiñ zauq-e-dīd ne āñkheñ tirī agar
har rahguzar meñ naqsh-e-kaf-e-pā-e-yār dekh
Top Urdushayar.com