faqr ke haiñ mo.ajizāt taaj o sarīr o sipāh
faqr hai mīroñ kā miir faqr hai shāhoñ kā shaah
ilm kā maqsūd hai pāki-e-aql o ḳhirad
faqr kā maqsūd hai iffat-e-qalb-o-nigāh
ilm faqīh o hakīm faqr masīh o kalīm
ilm hai jūyā-e-rāh faqr hai dānā-e-rāh
faqr maqām-e-nazar ilm maqām-e-ḳhabar
faqr mastī savāb ilm meñ mastī gunāh
ilm kā maujūd aur faqr kā maujūd aur
ash.hado an lā ilaah ash.hado an lā ilaah
chaḌhtī hai jab faqr kī saan pe teġh-e-ḳhudī
ek sipāhī kī zarb kartī hai kār-e-sipāh
dil agar is ḳhaak meñ zinda o bedār ho
terī nigah toḌ de ā.īna-e-mehr-o-māh