merī navā-e-shauq se shor harīm-e-zāt meñ
ġhulġhula-hā-e-al-amāñ but-kada-e-sifāt meñ
huur o farishta haiñ asiir mere taḳhaiyyulāt meñ
merī nigāh se ḳhalal terī tajalliyāt meñ
garche hai merī justujū dair o haram kī naqsha-band
merī fuġhāñ se rustaḳhez ka.aba o somnāt meñ
gaah mirī nigāh-e-tez chiir ga.ī dil-e-vajūd
gaah ulajh ke rah ga.ī mere tavahhumāt meñ
tū ne ye kyā ġhazab kiyā mujh ko bhī faash kar diyā
maiñ hī to ek raaz thā sīna-e-kā.enāt meñ