ishq se paidā navā-e-zindagī meñ zer-o-bam
ishq se miTTī kī tasvīroñ meñ soz-e-dam-ba-dam
aadmī ke reshe reshe meñ samā jaatā hai ishq
shāḳh-e-gul meñ jis tarah bād-e-sahar-gāhī kā nam
apne rāziq ko na pahchāne to muhtāj-e-mulūk
aur pahchāne to haiñ tere gadā daarā o jam
dil kī āzādī shahanshāhī shikam sāmān-e-maut
faisla terā tire hāthoñ meñ hai dil yā shikam
ai musalmāñ apne dil se pūchh mullā se na pūchh
ho gayā allāh ke bandoñ se kyuuñ ḳhālī haram