Allama Iqbal

yun hath nahin aata wo gauhar-e-yak-dana

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
yuuñ haath nahīñ aatā vo gauhar-e-yak-dāna
yak-rañgī o āzādī ai himmat-e-mardāna
yā sanjar o tuġhral kā ā.īn-e-jahāñgīrī
yā mard-e-qalandar ke andāz-e-mulūkāna
yā hairat-e-'fārābī' yā tāb-o-tab-e-'rūmī'
yā fikr-e-hakīmāna yā jazb-e-kalīmāna
yā aql kī rūbāhī yā ishq-e-yadul-lāhī
yā hīla-e-afrañgī yā hamla-e-turkāna
yā shar-e-musalmānī yā dair kī darbānī
yā nāra-e-mastāna kaaba ho ki but-ḳhāna
miirī meñ faqīrī meñ shāhī meñ ġhulāmī meñ
kuchh kaam nahīñ bantā be-jur.at-e-rindāna
Top Urdushayar.com