ḳhizāñ kī rut hai janam-din hai aur dhuāñ aur phuul
havā bikher ga.ī mom-battiyāñ aur phuul
vo log aaj ḳhud ik dāstāñ kā hissa haiñ
jinheñ aziiz the qisse kahāniyāñ aur phuul
ye sab tire mire iz.hār kī alāmat haiñ
shafaq ke rañg meñ sho.ala, lahū, zabāñ aur phuul
yaqīn kar ki yahī hai bujhe diloñ kā ilaaj
tirī vafā tirī chāhat tirā gumāñ aur phuul
'zafar' maiñ sūrat-e-ḳhushbū qayām kartā huuñ
so ek se mujhe lagte haiñ sab makāñ aur phuul