Allama Iqbal

tu ai asir-e-makan la-makan se dur nahin

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
tū ai asīr-e-makāñ lā-makāñ se duur nahīñ
vo jalva-gāh tire ḳhāk-dāñ se duur nahīñ
vo marġh-zār ki bīm-e-ḳhizāñ nahīñ jis meñ
ġhamīñ na ho ki tire āshiyāñ se duur nahīñ
ye hai ḳhulāsa-e-ilm-e-qalandarī ki hayāt
ḳhadañg-e-jasta hai lekin kamāñ se duur nahīñ
fazā tirī mah o parvīñ se hai zarā aage
qadam uThā ye maqām āsmāñ se duur nahīñ
kahe na rāh-numā se ki chhoḌ de mujh ko
ye baat rāh-rav-e-nukta-dāñ se duur nahīñ
Top Urdushayar.com