Allama Iqbal

puchh us se ki maqbul hai fitrat ki gawahi

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
pūchh us se ki maqbūl hai fitrat kī gavāhī
tū sāhib-e-manzil hai ki bhaTkā huā raahī
kāfir hai musalmāñ to na shāhī na faqīrī
momin hai to kartā hai faqīrī meñ bhī shāhī
kāfir hai to shamshīr pe kartā hai bharosā
momin hai to be-teġh bhī laḌtā hai sipāhī
kāfir hai to hai tāba-e-taqdīr musalmāñ
momin hai to vo aap hai taqdīr-e-ilāhī
maiñ ne to kiyā parda-e-asrār ko bhī chaak
derīna hai terā maraz-e-kor-nigāhī
Top Urdushayar.com