Allama Iqbal

tujhe yaad kya nahin hai mere dil ka wo zamana

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
tujhe yaad kyā nahīñ hai mire dil kā vo zamāna
vo adab-gah-e-mohabbat vo nigah kā tāziyāna
ye butān-e-asr-e-hāzir ki bane haiñ madrase meñ
na adā-e-kāfirāna na tarāsh-e-āzrāna
nahīñ is khulī fazā meñ koī gosha-e-farāġhat
ye jahāñ ajab jahāñ hai na qafas na āshiyāna
rag-e-tāk muntazir hai tirī bārish-e-karam kī
ki ajam ke mai-kadoñ meñ na rahī mai-e-muġhāna
mire ham-safīr ise bhī asar-e-bahār samjhe
unheñ kyā ḳhabar ki kyā hai ye navā-e-āshiqāna
mire ḳhaak o ḳhuuñ se tū ne ye jahāñ kiyā hai paidā
sila-e-shahid kyā hai tab-o-tāb-e-jāvedāna
tirī banda-parvarī se mire din guzar rahe haiñ
na gila hai dostoñ kā na shikāyat-e-zamāna
Top Urdushayar.com