Allama Iqbal

na ho tughyan-e-mushtaqi to main rahta nahin baqi

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
na ho tuġhyān-e-mushtāqī to maiñ rahtā nahīñ baaqī
ki merī zindagī kyā hai yahī tuġhyān-e-mushtāqī
mujhe fitrat navā par pai-ba-pai majbūr kartī hai
abhī mahfil meñ hai shāyad koī dard-āshnā baaqī
vo ātish aaj bhī terā nasheman phūñk saktī hai
talab sādiq na ho terī to phir kyā shikva-e-sāqī
na kar afrañg kā andāza us kī tābnākī se
ki bijlī ke charāġhoñ se hai is jauhar kī barrāqī
diloñ meñ valvale āfāq-gīrī ke nahīñ uThte
nigāhoñ meñ agar paidā na ho andāz-e-āfāqī
ḳhizāñ meñ bhī kab aa saktā thā maiñ sayyād kī zad meñ
mirī ġhammāz thī shāḳh-e-nasheman kī kam aurāqī
ulaT jā.eñgī tadbīreñ badal jā.eñgī taqdīreñ
haqīqat hai nahīñ mere taḳhayyul kī hai ḳhallāqī
Top Urdushayar.com