Allama Iqbal

fitrat ne na baKHsha mujhe andesha-e-chaalak

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
fitrat ne na baḳhshā mujhe andesha-e-chālāk
rakhtī hai magar tāqat-e-parvāz mirī ḳhaak
vo ḳhaak ki hai jis kā junūñ saiqal-e-idrāk
vo ḳhaak ki jibrīl kī hai jis se qabā chaak
vo ḳhaak ki parvā-e-nasheman nahīñ rakhtī
chuntī nahīñ pahnā-e-chaman se ḳhas o ḳhāshāk
is ḳhaak ko allāh ne baḳhshe haiñ vo aañsū
kartī hai chamak jin kī sitāroñ ko araq-nāk
Top Urdushayar.com