Allama Iqbal

hua na zor se uske koi gareban chaak

Allama Iqbal

Sialkot, Punjab, Pakistan

1877-1938
huā na zor se us ke koī garebāñ chaak
agarche maġhribiyoñ kā junūñ bhī thā chālāk
mai-e-yaqīñ se zamīr-e-hayāt hai pur-soz
nasīb-e-madrasa yā rab ye āb-e-ātish-nāk
urūj-e-ādam-e-ḳhākī ke muntazir haiñ tamām
ye kahkashāñ ye sitāre ye nīl-gūñ aflāk
yahī zamāna-e-hāzir kī kā.enāt hai kyā
dimāġh raushan o dil tiira o nigah bebāk
tū be-basar ho to ye māna-e-nigāh bhī hai
vagarna aag hai momin jahāñ ḳhas o ḳhāshāk
zamāna aql ko samjhā huā hai mish.al-e-rāh
kise ḳhabar ki junūñ bhī hai sāhib-e-idrāk
jahāñ tamām hai mīrās mard-e-momin kī
mire kalām pe hujjat hai nuktā-e-laulāk
Top Urdushayar.com