kho na jā is sahar o shaam meñ ai sāhib-e-hosh
ik jahāñ aur bhī hai jis meñ na fardā hai na dosh
kis ko mālūm hai hañgāma-e-fardā kā maqām
masjid o maktab o mai-ḳhāna haiñ muddat se ḳhamosh
maiñ ne paayā hai ise ashk-e-sahar-gāhī meñ
jis dur-e-nāb se ḳhālī hai sadaf kī āġhosh
na.ī tahzīb takalluf ke sivā kuchh bhī nahīñ
chehra raushan ho to kyā hājat-e-gulgūna farosh
sāhib-e-sāz ko lāzim hai ki ġhāfil na rahe
gaahe gaahe ġhalat-āhañg bhī hotā hai sarosh