kareñge ahl-e-nazar taaza bastiyāñ ābād
mirī nigāh nahīñ sū-e-kūfa-o-baġhdād
ye madrasa ye javāñ ye surūr o ra.anā.ī
inhīñ ke dam se hai mai-ḳhāna-e-farañg ābād
na falsafī se na mullā se hai ġharaz mujh ko
ye dil kī maut vo andesha o nazar kā fasād
faqīh-e-shahr kī tahqīr kyā majāl mirī
magar ye baat ki maiñ DhūñDtā huuñ dil kī kushād
ḳharīd sakte haiñ duniyā meñ ishrat-e-parvez
ḳhudā kī den hai sarmāya-e-ġham-e-farhād
kiye haiñ faash rumūz-e-qalandarī maiñ ne
ki fikr-e-madrasa-o-ḳhānqāh ho āzād
rishī ke fāqoñ se TuuTā na barhaman kā tilism
asā na ho to kalīmī hai kār-e-be-buniyād